Betiyaan to sirf ek ehsaas hoti hain
a beautiful poem I heard on a comedy show on star plus having Some of the most beautiful words for daughters
Kya likhun ?…
Ki woh pariyon ka roop hoti hai…
Ya kadakti thand mein suhaani dhoop hoti hai…
Wo hoti hai udaasi ke har marz ki dawa ki tarah…
Ya os mein sheetal hawa ki tarah…
Woh chidiyon ki chehchahahat hai,
Ya ke nishchal khilkilahat hai…
Woh aangan mein faila ujaala hai..
Ya mere gusse pe laga taala hai…
Woh pahad ki choti pe suraj ki kiran hai…
Ya zindagi sahi jeene ka aacharan hai…
Hai woh takat jo chote se ghar ko mahal bana de…
Hai woh kaafiya jo kisi gazal ko mukkamal kar de…
Kya likhun ??…
Woh akshar jo na ho toh varn maala adhoori hai…
Woh, jo sabse zaada zaroori hai…
Ye nahi kahoonga ki woh har waqt saath saath hoti hai,
Betiyaan toh sirf ek ehsaas hoti hain
बेटियां तो सिर्फ एक एहसास होती है
Woh mujhse australia mein chuttiyaan, mercedes to drive,
5 star mein dinner ya mehenge Ipods nahi mangti…
Na woh dher se paise piggy bank mein udhelna chahti hai
Woh bas kuch der mere saath khelna chahti hai…
Woh bas kuch der mere saath khelna chahti hai…
Aur main kehta hoon yehi…
ki beta bahut kaam hai.. nahi karunga toh kaise chalega…
Majboori bhare duniya daari ke jawaab dene lagta hoon…
Aur woh jhuta hi sahi,
Mujhe ehsaas dilati hai..
Ki jaise sab kuch samajh gayi ho..
Lekin aankhein band kar ke roti hai…
Jaise sapne mein khelte hue mere saath soti hai..
Zindagi na jaane kyun itni ulajh jaati hai…
Aur hum samajhte hain, betiyaan sab samajh jaati hain..
No comments:
Post a Comment